Samundar ka kinara, kinare par mandir
Sandhya ki bela me, mai bilkul akeli...
Suraj apni abha samet-ta hua kehta hai mujhse
Mai to chala, maine kaha - mai reh jaungi bilkul akeli...
Tu to apni abha bikherega kahin aur
Lekin mai? andhera ho jayega;
Sabhi apne ghar chale jayenge
Lekin mere saath kaun hai?
Mai to reh jaungi akeli...
Lekin mai? andhera ho jayega;
Sabhi apne ghar chale jayenge
Lekin mere saath kaun hai?
Mai to reh jaungi akeli...
Suraj muskurata hua bola- tu akeli kahan hai,
Bhram mat paal, tere saath har pal hai uska saath...
Auro ko pata nahin, lekin mai to antaryami hun,
Ja uske saath pal bita...
Bhram mat paal, tere saath har pal hai uska saath...
Auro ko pata nahin, lekin mai to antaryami hun,
Ja uske saath pal bita...
Kal aunga fir milne tujhse,
Tu nahi reh jayegi akeli...
Apna ehsaas bantna mujhse,
Kya maine galat kaha?
Uska jawab dena mujhse,
Kya tu akeli rahi?
Tu nahi reh jayegi akeli...
Apna ehsaas bantna mujhse,
Kya maine galat kaha?
Uska jawab dena mujhse,
Kya tu akeli rahi?
hmmm,
ReplyDeleteye sawaal mann puchta hai baar-baar, kai baar... hai na
Great yaar.
ReplyDeleteI dnt know that you are a writer as well...
Tum shayar kabse bangayi?
Shayar bannay ki koi khaas wajah??
waise akeli nahi rahogi tum.
ReplyDelete:)
:) :)
:) :) :)
chamjhe
बहुत बहुत सुन्दर अभिव्यक्ति...बेहद खूबसूरत..
ReplyDelete--अभिषेक
http://abhi-cselife.blogspot.com