Tanha nahin kat-ta ab safar,
judai dhaati hai mujhpar kahar;
Kaas paas hote tum is pahar,
phir aate nahi duniya ko hum nazar.
Khayalo me tum rehte ho sada,
shayad ise hi kehte hain wafa;
Samay ki koi pabandi nahi reh gayi hai,
tum mujhme, mai tum-me rehti hun sada.
Sapno me tum aate ho,
pyaar bhare do bol sunate ho;
Yun sapno me aakar tum,
mujhko bahut satate ho.
Ho jaata hai jab savera,
sirf chehra nazar aata hai tera;
Teri pyaar bhari muskaan ki soch se,
safal ho jaata hai din mera.
sirf chehra nazar aata hai tera;
Teri pyaar bhari muskaan ki soch se,
safal ho jaata hai din mera.
Ho raha hai jo haal mera teri yaad me,
shayad wahi haal ho raha hoga tera meri yaad me;
Bas tanhayi ke kshan kuch aur reh gaye hain,
isi barsaat ke mausam me hum phir mil rahe hain.