Wednesday, August 25, 2010

Ab aa bhi jao...!!!


Cham cham karti meri payal,
Khan khan khankti churiya...


Paas bulaye tujhe piya daras ab dikha jaa...


Ankhon me udaasi cha jaati hai,
Hontho pe muskurahat mand par jaati hai...


Aa jao ab ki raat tumhare bin nahin kat-ti,
Din bhi bejaan sa rehta hai...


Maathe ki laali, kaano ki ye baali;
Sab tujhe rijhane ko vyaakul hain...

Naino me hai sapne tumhare,
Aahon me hai ehsaas tumhare...

Saturday, August 21, 2010

Doli chali meri tere angna...!!!


Sajti thi, sanwarti thi, itraati thi khud pe...

Pal na beet jaaye yunhi intezaar me tere ye socha karti thi...

Ankahi kahani thi jaise,
Mere dil ki zubani thi jaise...
Aa gaye tum na jaane kis kshan me,
Umr bhar jaise raah takti thi tumhari hi mai...

Pal wo aa gaya tha, raah nai ban gayi thi,
Gore gore haathon me saj rahi thi mehndi...
Saaton janam ke saath ka wada karke chal padi saath tumhare,
Pata hai mujhe bhi janam janam ka ye saath hai humara
Aur ek din sanjog se ban gayi sangini tumhari...