Monday, January 25, 2010

Humara bharat kaisa ho?







Jaat paat ka naam na ho,

Dara hua insaan na ho,
Bhed bhav ka naam na ho,
Khoon bhari koi shaam na a hoho,
Oonch neech ek jaisa ho,
Humara bharat aisa ho.

Hindu,Muslim,Sikh,Isaai,
Sambandh ho sabka bhai-bhai,
Mandir,masjid,girijaghar,gurudwara,
Saman nazar ho sab par humara,
Ram-Rahim ek jaisa ho,
Humara bharat aisa ho.



Samridhi jiski ho pehchan,
Har manav me ho purn gyan,
Vishv bhar me ho humari shaan,
Dushman bhi kare humara gun-gaan,
Vikaas yahan humesha ho,
Humara bharat aisa ho.


 Jagriti nara ho humara,
Manavta ka dharm ho pyaara,
Kartavya humara ho sahara,
Lakshya humara ho sitara,

Kan-kan me desh-prem pukar humesha ho,
Humara bharat aisa ho.


Kare desh par nyochavar praan,
Dushmano ko bhi de prandaan,
Sahan kare na kabhi apmaan,
Tute na humara swabhimaan,
Shanti marg humesha ho,
Humara bharat aisa ho.