Poocha samundar ne aakash se...
Tu itna vishal hai, itna udaar hai...
Sabko khud me sama leta hai...
Kyun uff na karta ek din tu?
Kya sambhal leta hai tu har ek jazbaat ko?
Aakash muskuraya, dekha samundar ki taraf...
Aur kaha...
Dekhna hai mere jazbaat ko to yaad kar har us raat ko...
Jab tadap ke tu reh jaati hai...
Apne unmaad me, umang me uchal kud machati hai...
Lekin fir bhi mujh tak pahunch nahi pati hai...
Wo mai nahi to aur kaun hai?
Jo uksaata hai chandrama ko itna...
Wo mai nahi to aur kaun hai?
Jo bhar deta hai pyaar tujhme...
Wo mai nahi to aur kaun hai?
Jo kar jaata hai fir shaant tujhe...