Bin bole tu har din baat samjhti,
Tujhe samjh na saka koi...
Pal bhar me tu man ki vyaakulta ko shaant kare,
Teri chahat ko na samjhe koi...
Le Ishwar ka naam har din ki tu shuruaat kare,
Hai lakshmi tu, tu hi kaali, tu hi shakti;
Ye na samjhe koi...
He Naari ! Ye kaisi vidambana hai,
Kya isi ke liye hai tu bani?
Saare jag ki hai tu niarmaan karti,
Balidaan ki devi, daya ki murat;
Fir bhi tera upkar na maane koi...
Pyaar ka sarovar, mamta ka aanchal,
In sabki tu swami hai;
Fir bhi na jaane kyun sabke liye tu
Ek ansuljhi kahani hai...!